Bazm e Urdu - The urdu poetry app

Wo Kis Tarah Jannat Ka Haqdaar Hey Aakhir

By: Purki

Mohabbatoo K Sath Note B Samait Loo
Is Dore Me Sb Se Bara Hamdard Yahi Hey

Khali Jaib Mei Dil Samata Hey Na Bill
Apney B Zaroorat Pe Gair Bn Jata Hey Aakhir

Kon Kub Tuk Kisi Ka Dukh Sahey Gaa
Ye Lamha B Guzar Jana Hey Ek Din

Sirf Mohabbatoo Se Insan Ka Pait Nahi Bherta
Masoom Bachcha B Rokar Doodh Mangta He Aakhir

Maa'n Se Barh Kr Dunya Me Koi Nahi Mahram
Roti Na Miley To Wo B Mujrim Bn Jata He Aakhir

Hr Insan K Bardasht Ki Ek Had Hoti Hey
Jb Zulum Had Se Barh Jaye To Zalim Bn Jata He Aakhir

Koi B Insan Qatil Aata Nahi Yahaa
Jo Kisi Qabil Na Ho To Qatil Bn Jata Hey Aakhir

Insan Ko Insan Ka Hamdard Banaya Tha
Magar Insan Hi Insan Ka Dushman Bn Gia Aakhir

Allah Ne Kaba Se Ziada Insan Ko Muhtaram Qaraar Dia
Magar Mullah Ney Insanoo Ko Gumrah Kia Aakhir

Dunya Ki Tareekh Utha Kr Agar Dekho
Insanoo Ko Shetanoo Se Ziada Mullawoo Ne Bhatka Dia Aakhir

Jo Deen K Naam Pr Insanoo Ko Larata Ho
Wo Kis Tarah Jannat Ka Haqdaar Hey Aakhir
 


Install Bazm-e-Urdu now to search through over 50000+ Urdu Poems and share as text or customized images. More than 1000+ images to choose from. So what are you waiting for?


Download on google play Download on appstore